Kamray ko jo phoolon se saja doon to rulaa doon
Woh raat tujhay yaad dila doon to rulaa doon
KAb samna kar paye ga tu meri nigah ka
Chehray se teray zulf hata doon to rulaa doon
Ae jatay huye shakhs tera hosla kya hai
Surkhi si jo aankhon main barha doon to rulaa doon
Do ashk bhula detay hain khud se kiye paimaan
Ik baar agar haath barha doon to rulaa doon
Paishaani pe ab tak hai teray lams ka par tao
YEh shamma achanak jo bujha doon to rulaa doon
Ae meray dushman , Ae meray sang sifat dil
Ehsaas jo tujh ko bhi dila doon to rulaa doon
No comments:
Post a Comment