Feb 17, 2015

Jo waqat baaqi hai ik shaam main guzar jaye


Jo waqat baaqi hai ik shaam main guzar jaye 
Main zehar itna piyoon sara shaher mar jaye 

Udaasiyon ka woh taizab hai meray funn main 
MAin shiar likhon tera husan na bikhar jaye 

Andehri raat main jalnay ko dil tarasta hai 
Kabhi to chaand zara dair ko utar jaye

Meray qalam ka wajood itna khoobsurat ho 
Ameer-e-shaher meri zindagi se dar jaye 

Mujhay mitanay ki dhun main kahan woh shakhs 
Apnay hi honay se na mukar jaye

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...