Feb 24, 2015

Kuch un ki adaaon ka talab'gaar bhout tha


Kuch un ki adaaon ka talab'gaar bhout tha 
Kuch apni anaaon se mujhay pyaar bhout tha 

Socha tha keh paa loon ga ussay ik na ik din 
Pehli si mohabbat pe Aitabaar bhout tha 

Manzil kaisay naseeb ho teray dayaar ki 
Raasta jo teray ghar ka pur'israar bhout tha 

Us ne kuch is andaz main izhaar kiya tha 
Iqraar kam , iqraar main inkaar bhout tha 

Mujh ko faqat pyaar main ruswaiyaan mileen
Shayed keh main mohabbat ka gunnah'gaar bhout tha 


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...