Zindagi ki raahon main ranj-o-gham kay mailay hain 
Chaar soo andheray hain un'ginat jhamailay hain 
Kashtiyan hain kaaghaz ki baarishon ka mousam hai 
Aandiyon kay jhakkar main paaniyon kay railay hain 
Dard ka samandar hai mohabbaton ki bazi main 
Ghamon ki rawani main dard kitnay jhailay hain
Tum bina adhoori hai zindagi do pal ki hai 
Aanso'on kay dariya main kis qadar akelay hain 
Na'tamaam raston main dushmano kay pehray hain 
Be'wafa zamanay ne khail kaisay khailay hain 
Kis ko maan lain apna kis se dushmani rakhein 
Iss be'basi main gham be'shumaar jhailay hain 
Baat ik lamhay ki hai waqat kab muyassar hai 
Khwaishein hazaron hain haath meray phailay hain 
Aa kay tum hi rakh jaao dil pe haath "Shokat" kay
Door reh kay baaton se dil kis kay behlay hain 
 
No comments:
Post a Comment