Feb 17, 2015

Main kaisay bhula doon woh din


Main kaisay bhula doon woh din 
JAb pehli baar main ne tumhari awaz suni thi 
Us waqat se le kar aaj talak 
Meri dharkano main tum basi ho 

Main kaisay bhula doon woh din 
Jab main ne tumhara naam suna tha 
Meri zubaan ne qasam uthaai thi 
Keh tumharay naam kay siwa
Kisi ka naam na loon ga 

MAin kaisay bhula doon woh din 
Jab tumharay wajood ki khushboo paa kar 
Meri her saans mehak uth'ti thi 
US aik din ne meri zindagi , meray halaat 
meray din raat badal kar rakh diye 

MAin kaisay bhula doon woh din

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...