Feb 24, 2015

Sar-e-Meh'khana koi paarsa ab tak nahin aaya


Sar-e-Meh'khana koi paarsa ab tak nahin aaya
Hamein peenay pilaanay ka maza ab tak nahin aaya

Falak ki gardish hairaan hai us ki be'misaali par 
Koi aisa sitam'gar doosra ab tak nahin aaya 

Shabaab aaya , hijaab aaya , adaein aa gayein un ko 
NAhin aaya to andaz-e-wafa ab tak nahin aaya

Nigahein un ki uttheen ghoom phir kay ghair tak poncheen 
Meri janab koi teer-e-qaza ab tak nahin aaya

Palat kay aa nahin sakta Adamm ki raah se koi 
YEh duniya chor kay jo bhi gaya , ab tak nahin aaya

YEh ek tum ho keh ek muddat se hum ko bhoolay baithay ho 
Yeh ek hum hain keh hum ko bhoolna ab tak nahin aaya
 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...