Mohabbat rog hoti hai kaha bhi tha
Rula kar khud bhi roti hai kaha bhi tha
Kinaray kay bhout nazdeek lay ja kar
Yeh kashti ko dabooti hai kaha bhi tha
Issay tum dil ki dharti ka pata mat do
Yeh is main dard boti hai kaha bhi tha
Luta kar dil ko ronay se bhi kya haasil
Bhout na'yaab moti hai kaha bhi tha
Azal se is ki fitrat hai zamanay ko
Jaga kar aap soti hai kaha bhi tha
Yeh sar se paaon tak bas raakh kar dy gi
Bhout bar'baad hoti hai kaha bhi tha
No comments:
Post a Comment