Feb 22, 2015

Woh aankhon aankhon main baat karna


Woh aankhon aankhon main baat karna 
Woh baaton baaton main raat karna 

Hansi chupanay ko lab kay aagay 
Haseen komal se haath karna 

Kabhi hansana, kabhi rulana , 
Jo yaad aayon to loat aana

Hamein tumhari hi justagoo hai 
Tumhari chahat ki Aarzoo hai 

YEh baat tum kabhi to samjho 
Hamari chup main bhi guftagoo hai 

Samjh sako to hamein bataana 
Jo yaad aayon to loat aana

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...