Mar 10, 2015

Aankhon main thakan dhanak badan par


Aankhon main thakan dhanak badan par 
Jaisay shab-e-awwleen dulhan par 

Dastak hai hawa-e-shab ki tann par
Khulta hai naya dareecha fun par 

Rangon ki jameel baarishon main 
Utri hai bahaar phool ban kar 

Thaamay huye haath roshni ka 
Rakh ayi qadam zameen gagan par 

Guzra tha koi shareer jhonka 
Salwat hai qaba-e-yasmeen par 

Shabnam kay labon pe naachti hai 
Chaya hai ajab nasha kiran par 

Khulti nahin barg-o-gul ki aankhein 
Jaadu koi kar gaya chaman par 

Khamoshi kalaam kar rahi hai 
Jazbaat ki mohar hai sukhan par

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...