Agar tumhain qabool ho jaana
Falak kay tabinda chand sitaray
Yeh wadiyon kay gulaab saaray
Woh ka'kul-e-shab ki hashar sazi
Woh Aariz-e-subha kay sab nizaray
Woh chashm-e-saahir kay shair pyaaray
Agar kaho to bana dain taaray
Tumharay qadmon ki dhool jaana
Agar tumhain ho qabool jaana
Agar tumhain ho qabool jaana
Tumhari aankhon ko jaam likhein
Tumhain nazar se salam likhein
Aur apnay dil kay haseen warq par
Faqat tumhara hi naam likhein
Jahan ki her aik naghmagi ko
Tumhara tarz-e-kalaam likhein
Agar ijaazat ho hum bhi kar lain
Yeh pyaar ki ik bhool jana
Agar tumhain ho qabool jaana
Agar tumhain ho qabool jaana
To aankh main tehehro , ghar ki surat
Raho nazar main nazar ki surat
Hamaray dil ki sadaf main aayo
Wafa kay sachay ghar ki surat
Hamari tareekiyon ki shab main jana
Chalo jo najam-e-sehar ki surat
Tumhari chahat ki nazar kar dain
Yeh aarzo'on kay phool jana
Agar tumhain ho qabool jaana
No comments:
Post a Comment