Deen se door na mazhab se alag betha hoon
Teri dehleez pe hoon sab se alag betha hoon
Dhang ki baat kahay koi to bolon main bhi
Matlabi hoon kisi matlab se alag betha hoon
Bazam-e-ehbaab main haasil na hua chain mujhay
Mutmaein dil hai bhout jab se alag betha hoon
Umar karta hoon basar gosha-e-tanhai main
Jab se woh roorth gaya tab se alag betha hoon
Mera andaz "Faraz" Ehal-e-jahan se hai juda
Sab main shamil hoon magar sab se alag betha hoon
No comments:
Post a Comment