Dil ko hisaar-e-ranj-o-alam se nikaal bhi
Kab se bikhar raha hoon mujhay ab sambhal bhi
Aahat si us haseen ki her soo thi, woh na tha
Hum ko khusi kay saath hota raha malaal bhi
Sab apni apni moj-e-fanaa se hain be'khabar
Mera kamal-e-shairy, tera jamaal bhi
Husn-e-azal ki jaisay nahin doosri misaal
Waisa hi be'nazeer hai us ka khayal bhi
Mat pooch kaisay marhalay aankhon ko paish thay
Tha chodween ka chand bhi woh khush jamaal bhi
Janay woh din thay kon se aur kon sa tha waqat
Gad mud se ab to honay lagay maah-o-saal bhi
Ek chasham-e-iltafaat ki peh'ham talaash main
Hum bhi ulajhtay jatay hain lamhon ka jaal bhi
No comments:
Post a Comment