Dhamki
Woh ik veeran gali thi shaher-e-dil ki
Shab-e-mahtaab thi
Lakin wahan ab tak andhera tha
Tan-e-tanha akela dekh kar , shayed nihata jaan kar mujh ko
Kisi sun'saan goshay se , achanak samnay aa kar
Nihayat sard mehri se , bhout safaak lehjay main
Mohabbat ne mujhay be'haal karnay ki dhamki di !!
Khird ki chaak damaani kay andeshay se sehmaya
Daraya , zakham-e-dil lag jaye to bharta nahin hai
Giribaan chaak ho jaye to phir silta nahin hai
Main kya karta
Main zidi tha
Main na mana
Jo hona tha so woh ho kar raha
Veeran gali main shaher-e-dil ki
Mohabbat ab bhi milti hai
Kabhi gaahay ba'gaahay haal-e-dil kay pooch lenay ko
Woh hansti hai
Bhout hi narm go hai ab
Kabhi mujh ko akela dekh le to pooch leti hai
Woh dhamki yaad hai tum ko ?
Main hans deta hoon
Kya bolon
Karon bhi kya
Main zidi tha
Main zidi hoon
Poet :~ Shariq Ali
No comments:
Post a Comment