Mar 21, 2015

Faaslay itnay barhay hijar main Aazaar kay saath


Faaslay itnay barhay hijar main Aazaar kay saath
Ab to woh baat bhi kartay nahin gham-khwaar kay saath 

Ab to hum ghar se nikaltay hain to rakh detay hain 
Taaq pe izaat-e-sadaqat bhi dastaar kay saath 

Ik to tum khwaab liye phirtay ho galiyon galiyon 
US pe takraar bhi kartay ho kharidaar kay saath 

Hum ko us shaher main jeenay ka soda hai jahan 
Log mai'maar ko chun detay hain dewaar kay saath

Khouf itna hai teray shaher ki galiyon main "Faraz"
Chaap suntay hain to lag jaatay hain dewaar kay saath 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...