Mar 21, 2015

Junoon ko zabt sikha loon to phir chalay jana


Junoon ko zabt sikha loon to phir chalay jana
Main apna aap sambhaal loon phir chalay jana

Usi tarah hai abhi tishnagi in aankhon main 
Main in ki pyaas bujha loon to phir chalay jana

Dil ko yeh weham keh tum loat kar na aayo gay 
Yeh weham dil se nikaalon to phir chalay jana

Biyaz-e-dil pe jo utri hai surat-e-ilhaam 
Woh ghazal tum ko suna loon to phir chalay jana

Nisaar hotay hain shamma pe kaisay parwanay 
Yeh jashan tum ko dikha loon to phir chalay jana

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...