Geeli zulfon ko jab chehray pe sajaya us ne
Jaisay mehtaab ko badal main chupaya us ne
Ruk gayi gardish-e-duniya bhi us kay jalwey ki khatir
Jaisay hi baalon ko chehray se hataya uss ne
Moo-e-be'niaz jabeen par bikhray jis waqat
Chaand roshan ko girhan jaisay lagaya uss ne
Woh jo rukhsaaron pe gaysoo se giri thi shabnam
Boond ko moti ki surat main banaya uss ne
Tab mera hosla-e-emaan dag'magaata raha
Jab bhi zulfon ki chaaon main sulaya uss ne
Lay chali aankhon se neendain woh churra kar "Hasrat"
Jab baalon ko gira kay meray chehray par , jagaya uss ne
No comments:
Post a Comment