Mar 9, 2015

Phir ussi be'wafa se pyaar bara mushkil hai


Phir ussi be'wafa se pyaar bara mushkil hai 
Phir mohabbat kai Aetabaar bara mushkil hai 

Dil ka her zakham to paband-e-wafa hai ab bhi 
Bas yeh ronay pe ikhtiyaar bara mushkil hai 

Zindagi maang loon tujh se , khushiyaan lakin 
Phir chukaana tera udhaar bara mushkil hai 

Rooth kar tum ne meray , Qissa-e-ulfat main sanam 
Ab kay likha hai jo kirdaar bara mushkil hai 

Zard chehray pe yeh kajal se bharri aankhein 
Hum ne kehtay thay yeh singhaar bara mushkil hai 

Dil to raaghib hai mohabbat ki taraf kya keejiye 
Iss kay iqraar ka izhaar bar mushkil hai 


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...