Har koi jaati hui rutt ka ishaara janay
Gul na janay bhi to kya , baagh to sara janay
Kis ko batlaein keh ashoob-e-mohabbat kya hai
Jis pe guzri ho wohi haal hamara janay
jaan nikli kisi bismil ki na suraj nikla
Bujh gaye kiyon shab-e-hijraan ka sitara janay
Jo bhi milta hai hum hi se gila karta hai
Koi to surat-e-halaat khudaara janay
Dost ehbaab to reh reh kay galay miltay hain
Kis ne khanjar meray seenay main utaara janay
Tujh se barh kar koi nadaan nahin ho ga "Faraz"
Dushman-e-jaan ko bhi tu jaan se pyaara janay
No comments:
Post a Comment