Shouq-e-talab ko dard ki meezan main toliye
Lakin kabhi Aarzoo kay dareechay na kholiye
Shaher-e-wafa ki simt uthaya hi tha qadam
Toofan Aafton kay maray saath ho liye
Shana hila kay fikar ne baidaar kar diya
Jab bister-e-Anaa pe bhout dair so liye
Hum ko sata kay chain se woh bhi na reh saka
Kaantay khud apni raah main zaalim ne bo liye
Aankhon se apni karb ka baadal barsa chuka
Jee khol kay hum apni tabahi pe ro liye
No comments:
Post a Comment