Mar 14, 2015

Main jab us se kehta hoon mujhay tum se mohabbat hai


Main jab us se kehta hoon 
Mujhay tum se mohabbat hai 

Nafi main sar hilaata hai 
Nigahon ko jhukaata hai 
Hatheli samnay rakh kar
Kisi ka naam likhta hai

Muthi band karta hai 
Aankhon se lagaata hai 
Phir us ko choom leta hai 
Achanak bol uth'ta hai 

Mujhay is se mohabbat hai 
Yehi to mera sab kuch hai 
Yeh sab kuch samnay paa kay 
Main be'zaar hota hoon 

Mujhay be'zaar paata hai 
To khud bhi reh nahin paata 
Muthi khol deta hai 
Jo muthi khol deta hai 
Mera hi naam hota hai 
Mujhay woh youn satata hai

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...