Mar 11, 2015

Qurbaton kay sawan main hijar ki ghata ho ja


Qurbaton kay sawan main hijar ki ghata ho ja
Phir se tor dil mera , phir se be'wafa ho ja 

Mujh se kya tujhay haasil main nahin tera saahil 
Khud safeena ban apna khud hi na khuda ho ja 

Kal ko tu jo nochay gi apna chehra nochay gi 
Tab juda hona hai , ab hi tu juda ho ja 

Iss se barh kay dil joyi kar na paye ga koi 
Jurm jo kiya main ne us ki tu saza ho ja 

Bojh mujh se reh jaye baad-e-marg kiyon tera ?
Qarz agar hai tu mera , waqat par adaa ho ja

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...