Mar 11, 2015

Mil hi jaye ga kahin , dil ko yaqeen rehta hai


Mil hi jaye ga kahin , dil ko yaqeen rehta hai 
Woh is shaher ki galiyon main kahin rehta hai 

Ek zamana tha keh sab ik jaga rehtay thay 
Aur ab koi kahin , koi kahin rehta hai 

Jis ki saanson se Mo'atar tha dar-o-dewaar tera 
Ae makaan bol, Kahan ab woh makeen rehta hai 

Roz milnay pe bhi lagta hai keh jag beet gaye 
Ishq main waqat ka ehsaas kahan rehta hai 

Dil afsurda to hua , dekh kar us ko Mohsin 
Umar bhar kon jawaan , kon haseen rehta hai

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...