Mar 18, 2015

Shaher main teri paziraayi na honay doon gi


Shaher main teri paziraayi na honay doon gi 
Tu mera hai tujhay harjaai na honay doon gi

Chup rahoon gi jo kahay ga koi tujh ko majnoo
Iss se barh kar teri ruwaai na honay doon gi

Yaad aayon gi tujhay achay dino ki surat 
Main mukamal teri tanhai na honay doon gi

Jaanti hoon keh mera hona hai us se mashroot
Apnay dushman ki main pas'paai na honay doon gi

Achay lagtay hain mujh ko parinday lakin 
Us ko un ka bhi taman'naai na honay doon gi

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...