Mar 22, 2015

Taweel karb-o-masaib ka baab kitna hai


Taweel karb-o-masaib ka baab kitna hai 
Bataa , naseeb main meray azaab kitna hai 

Andheri raat main nikal kay dekh kabhi 
Pata chalay ga zamana kharaab kitna hai 

Main jaanta hoon haqeeqat kisi ko kya maloom 
Fiza-e-dil main meri iztaraab kitna hai 

Hamaray zo'af pe mat jaao fikar ko dekho 
Keh is main husn hai kitna , shabaab kitna hai 

Kiya hai qasd keh be'baak kar hi daalein gay 
Zara bataao hamara hisaab kitna hai 

Zameen-o-dil ko meri yeh bhigo nahin sakta 
Pata hai teray karam ka shabaab kitna hai

Hamesha jod-o-karam ka amal raha jaari 
Kabhi na socha keh is main sawaab kitna hai

Azal se parhtay rahay hain kitaab-e-ishq magar 
Pata nahin hai , baaqi nisaab kitna hai 

Bhout qareeb se jo parkha us ko 
Shaidaai hua hai ilam woh izzat muaab kitna hai

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...