Tum mera dard bhi gham bhi Alaam bhi tum
Tum mera chain ho jana mera araam bhi tum
Kamyaabi ko nahin hum ne tumhain chaha hai
Hum tumharay hain bhalay ho gaye na'kaam bhi tum
Main maseeha hoon agar mera wazeefa tum ho
Main hoon mujrim meri jaan mera ilzaam bhi tum
Kya zaroorat hai mujhay dard kay meh'khano ki
Tum hi nasha tum hi paimaana mera jaam bhi tum
Mukhtalif se bahano se mujhay sochtay ho
Aik din khul kay pukaaro gay mera naam bhi tum
Yeh siyasat bhi ajab khail hai bholay panchi
Yahan siyaad bhi tum ho to tehdaam bhi tum
Jis se roshan mera aangan hai tum hi ho woh chragh
Sach to yeh hai keh tum hi ghar ho dar-o-baam bhi tum
Raat din tum ko faqat tum ko mujhay sochna hai
Meri fursat bhi tumhi aur mera her kaam bhi tum
No comments:
Post a Comment