Un pe zahir meray Armaan kis unwaan hotay
Main na kehta bhi to aankhon se numayaan hotay
Kiyon na rehnay diya sar dosh-e-adu par apna
Teray gaysoo to na thay hum jo pareshaan hotay
Mout ne rok diye Ashk-e-mareez-e-shab-e-gham
Yeh woh taaray thay jo din ko bhi numayaan hotay
Kon dewana unhain chain se rehnay deta
Phool agar meri tarah chaak-e-giribaan hotay
Raat kiyon baat bikhairay thay na poocha main ne
Khawab ki baat ki sarkaar pareshaan hotay
Ae dil hijar ki shab kat gayi dhoka hai tumhein
Subha hoti to sitaray na darakhshaan hotay
No comments:
Post a Comment