Mar 30, 2015

Woh ashk ban kay meri chashm-e-tar main jab aaya


Woh ashk ban kay meri chashm-e-tar main jab aaya
Sha'oor soz-e-mohabbat ka mujh ko tab aaya 

Adhooray pan ka tamasha hai meray chaaron taraf 
Yahan pe koi nahin , jis kay hissay main sab aaya 

Phir us kay baad zubaan qaid ho gayi meri 
Bas ik baar tera naam zer-e-lab aaya

Na sajda haaye aqeedat main be'khudi utri 
Na khaak-e-hasto ko utarnay ka koi dhab aaya

Jissay yaqeen ho awaragi kay maslik par 
Ussay khayal dil-o-dar'badar ka kab aaya 

Ameer-e-shaher ne Aahon pe jab saza rakh di 
Ghreeb-e-shaher ko tab yaad apna Rab aaya 

Sufaid ho gaye jo sar kay baal bhi 
Hamaray gaaon ka beta palat kay ab aaya

 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...