Woh khoon kar kay umeedon ka muskuraatay hain
Yeh log shaher kay kiyon mujh ko azmaatay hain
Dara rahay hain yeh qabron kay mujh ko sanaatay
Yeh zakham kaisay hain sada mujh ko rulaatay hain
Main jab hanson, meri palkein bhi bheeg jaati hain
Yeh meray lab meri Aahein bhout chupaatay hain
Kabhi tha surkh gulaabon ka mousam Aangan main
Yeh zard pattay teri yaad ab dilaatay hain
Ana kay butt main sisakti hai hasraton ki laash
Yeh teray waday to pagal mujhay banatay hain
Jala kay raakh karain gay chaman ko ae "Khanam"
Jo log aag ko chingaari dikhaatay hain
No comments:
Post a Comment