Apr 2, 2015

Ab kay soch rakha hai youn Eid manaon ga


Ab kay soch rakha hai youn Eid manaon ga 
Dard se dil tanhaiyon se ghar sajaon ga 

Log hain muntazir chaand kay mujhay intizaar tumhara hai 
Logon ki Eid chand se main tumhein dekh kar Eid manaon ga 

Log mil kar galay muskuraatay hain 
Main baanhon main kho kar teri phir se ashk bahaon ga 

Ab to aa jaao keh main bhi Eid mana loon 
Tum na aaye to main yeh duniya hi chor jaaon ga  

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...