Afsana-e-hasti hoon haqeeqat ki zubaan hoon
Suntay nahin meri keh main sehra ki Azaan hoon
Her chand keh main seena-e-arzi pe giraan hoon
Haq yeh hai keh insaan ki azmat ka nishaan hoon
Makhfi kahin hoon to kahin sab pe ayaan hoon
Emaan-o-yaqeen hoon to kahin weham-o-gumaan hoon
Be'kaif chalay aayein musafir meray peechay
Gum gashta-e-manzil hoon magar phir bhi rawan hoon
Dekho jo mera haal to hoon zarah-e-khaaki
Socho to khud apni jagah kon-o-makaan hoon
Her simt hoon phaila hua simta hua kab hoon
Her ik dil main hoon agarchay dhuwaan hoon
No comments:
Post a Comment