Apr 7, 2015

Dekha hai faqat tujh ko khawabon main abhi tak


Dekha hai faqat tujh ko khawabon main abhi tak 
Aaya nahin tu meray hawalon main abhi tak 

Duniya kay liye tera taaruf nahin kaafi 
Hota hai tera zikar sawalon main abhi tak 

Ek baar teray dhiyaan se aaya tha achanak 
Roshan hain sitaray se khayalon main abhi tak 

Unwaan badal denay se kya farq parra hai 
Mazmoon puarnay hain  risaalon main abhi tak 

Roshan hain dil main umeedon kay saweray 
Zinda hoon bahar-haal ujaalon main abhi tak

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...