Apr 26, 2015

Aik anokha khail tamasha main hi tha


Aik anokha khail tamasha main hi tha 
Duniya kay bazar main sasta main hi tha 

Meray sab iqraar ghalat tehray goya 
Her kirdaar main sab se jhoota main hi tha 

Ilam-o-amal kay ozaaron se lais thay sab 
Tanha , be'bas aur nehata main hi tha 

Main ne kiya tha saray gumaano ko roshan 
Phir jo chadar taan kay soya , main hi tha

Raah-e-talab main apna rasta , apni chaal 
Sadiyon se jo dhoond raha tha , main hi tha 

Aainay ko haath laga kar dekh chuka 
Woh saalim tha is main shakista main hi tha 

Khud ko roshan samjha tha lakin salman 
Baahir jo phaila tha andhera main hi tha

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...