Apr 1, 2015

Bil'Aakhir yeh haseen manzir mitta dena hi parta hai


Bil'Aakhir yeh haseen manzir mitta dena hi parta hai 
Kisi kay sar ko seenay se hata dena hi parta hai 

Kisi dair Aashna ko jhootay sachay sawalon se 
Ta'aruf kay liye sab se mila dena hi parta hai 

Jo saanson main mehaktay hain jo aankhon main damaktay hain 
Achanak aik din un ko bhula dena hi parta hai 

Diye jo hum jalatay hain Niyat-e-shouq se her shab 
Unhain khud apni palkon se bujha dena hi parta hai 

Koi jab haal poochta hai hum se , kaisa haal hai ?
Hamein mohtaat ho kar muskura dena hi parta hai 

Chamak uth'tay hainjab sitaray us ki palkon par 
Ussay dil se laga kar hosla dena hi parta hai

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...