Youn hi mil bethnay ka bahana niklay
Baat se baat fasanay se fasanay niklay
Phir chalay zikar kisi zakham kay chill janay ka
Phir koi dard koi khawab puraana niklay
Phir koi yaad koi saaz utha lay aaye
Phir kisi saaz kay parday se taraana niklay
Yeh bhi mumkin hai sehraaon main gum ho jayein
YEh bhi mumkin hai Kharabon se khazana niklay
Aao dhoondein to sahi Ehal-e-wafa ki basti
Kya khabar phir koi Gum'gashta thikaana niklay
Yaar aisi bhi na kar baat keh dono ro dain
Yeh taaluq bhi faqat rasm-e-zamana niklay
Yeh bhi hai ab na uthay naghma-e-zanjeer kabhi
Yeh bhi hai hum sa koi aur dewana niklay
No comments:
Post a Comment