Guftagoo jab se huwi hai meri us kay saath par
Wog bigarnay lag gaya hai meri her baat par
Kaisay jungal aa basay meray hanstay shaher main
Kaisi veerani se chai hai meray dehaat par
Lafz murjhanay lagay hain shiddat-e-tapp se meray
Sawano ki phir koi baarish meray naghmaat par
Jhonk kar wadon ko majboori kay aatish'daan main
Daal de ga woh koi ilzaam meri zaat par
Meray chehray par meri apnai malaamat chaa gayi
Tabsira karnay laga tha surat-e-halaat par
Meray hi ashkon ne meray ghar ko roshan kar diya
Chand ka ehsaan kiya , meri kaali raat par
Us ne kha'mukha aankhon main aansoo bhar liye
Muskurana itna mushkil to nahin tha maat par
No comments:
Post a Comment