Apr 7, 2015

Shareek-e-gul bhi raha awara saba bhi raha


Shareek-e-gul bhi raha awara saba bhi raha 
Aur apni zaat kay sehra main la'pata bhi raha 

Milay her ik se taanay salamati kay mujhay 
Kissay khabar keh main andar se toot'ta bhi raha 

Hui ajeeb zamanay main parwarish meri 
Kamar tani bhi rahi haath main Asaa bhi raha 

Woh mujh se chahta kya tha , mujhay khabar na hui 
Main bikharta raha aur khud ko samit'ta bhi raha 

Kaati hai umar ajab do'rahay par 
Main apnay aap se khush bhi raha aur khafa bhi raha

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...