Apr 27, 2015

Naye kapray badal kar jaaon kahan aur baal banaon kis kay liye


Naye kapray badal kar jaaon kahan aur baal banaon kis kay liye 
Woh shakhs to shaher hi chor gaya main baahir jaaon kis kay liye 

Jis dhoop ki dil main thandak thi woh dhoop usi kay saath gayi 
In jalti balti galiyon main ab khaak uraaon kis kay liye 

Woh shaher main tha to us kay liye auron se bhi milna parta tha 
Ab main aisay waisay logon kay naaz uthaon kis kay liye 

Ab shaher mainus ka badal hi nahin , koi waisa jaan-e-ghal hi nahin 
Ewaan-e-ghazal main lafzon kay guldaan sajaon kis kay liye 

Muddat se koi aaya na gaya sunsaan pari hai ghar ki fiza
In khaali kamron main "Nasir" ab shamma jalaon kis kay liye

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...