Apr 27, 2015

Niyat shouq bhar na jaye kahin


Niyat shouq bhar na jaye kahin 
Tu bhi dil se utar na jaye kahin 

Aaj dekha hai tujh ko dair kay baad 
Aaj ka din guzar na jaye kahin 

Na mila kar udaas logon se 
Husn tera bikhar na jaye kahin 

Aarzoo hai keh tu yahan aaye 
Aur phir umar bhar na jaye kahin 

Jee jalaata hoon aur yeh sochta hoon 
Raigaan yeh hunar na jaye kahin 

Aao kuch dair ro hi lain "Nasir"
Phir yeh dariya utar na jaye kahin
 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...