Teray milnay ko be'kal ho gaye hain
Magar yeh log pagal ho gaye hain
Baharein lay kay aaye thay jahan tum
Woh ghar sunsaan jung ho gaye hain
Yahan tak barh gaye alaam-e-hasti
Keh dil kay hoslay shall ho gaye hain
Kahan tak taab laye na'tawaan dil
Keh sadmay ab musal'sal ho gaye hain
Nigah-e-yaad ko neend aa rahi hai
Mazda par ashk bojhal ho gaye hain
Unhain sadiyon na bhoolay ga zamana
Yeh jo hadsay kull ho gaye hain
Jinhein hum dekh kay jeetay thay Nasir
Woh log aankhon se ojhal ho gaye hain
No comments:
Post a Comment