May 2, 2015

Jin kay dam se thein bastiyan abaad


Jin kay dam se thein bastiyan abaad
Aaj woh log hain kahan abaad

Jal rahay hain haray bharay Gulzaar
Gham hua hai kahan kahan abaad

Keh rahi hai shakistagi dil ki
Tha makeeno se yeh makaan abaad

Hum ne dekhi hai gosha-e-dil main
Aik duniya-e-be'karaan abaad

Chand manzir ujaarnay walo
Ho rahay hain kai jahan abaad

Ghar jala kar na rad-e-mohabbat main
Yeh to hota hai khan'maan abaad

Kitnay taray Faraz toot chukay
Hai abhi tak yeh khaak daan abaad

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...