May 2, 2015

Kuch aisay hum ne kharabay basaaye shehron main


Kuch aisay hum ne kharabay basaaye shehron main
Jo dasht walay thay woh bhi uth aaye shehron main

Hamari sada dili dekhiye keh dhoondtay hain
Hum apnay dais ki baatein puranay shehron main

Kuch is tarah se her aik baam-o-dar ko dekhtay hain
Zamanay baad koi jaisay aaye shehron main

Suna hai jab bhi luti hai bahar-e-veerana
To chand aur chaman muskuraye shehron main

Qadam qadam pe huye talkh tajarbay phir bhi
hamein hayat kay gham kheench laye shehron main

Hawa na do keh yeh jungle ki aag hai yaaro
Ajab nahin hai agar phail jaye shehron main

Faraz hum woh ghazalan-e-dasht-o-sehra main
Aseer kar kay jinhein log laye shehron main

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...