May 2, 2015

Raat kay pichlay pehar ronay kay aadi roye


Raat kay pichlay pehar ronay kay aadi roye 
Aap aaye bhi magar ronay kay aadi roye 

Un kay aa janay se kuch tham se gaye thay aansoo
Un kay jaatay hi magar ronay kay aadi roye 

Haye pabandi-e-adaab teri mehfil ki 
Keh sar-e-rag'guzar ronay kay aadi roye 

Aik taqreeb-e-tabasam thi baharan lakin 
Phir bhi aankhein huein tar ronay kay aadi roye 

Dard mandon ko kahin bhi to qaraar aa na saka 
Koi sehra ho keh ghar ronay kay aadi roye 

Ae Faraz aisay main barsaat kattay gi kiyon kar
Gar youn hi shaam-o-sehar ronay kay aadi roye

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...