Dastoor yahan bhi goongay hain , farmaan yahan bhi andhay hain
Ae dost ! Khuda ka naam na le , emaan yahan bhi andhay hain
Taqdeer kay kalay kambal main , azmat kay fasanay liptay hain
Mazmoon yahan bhi behray hain , unwaan yahan bhi andhay hain
Zar'daar tawaqo rakhta hai , Na'daar ki gaarhi mehnat par
Mazdoor yahan bhi dewane , zeeshan yahan bhi andhay hain
Kuch log bharosa kartay hain tasbeeh kay chaltay dano par
Be'chain yahan yaz'daan ka junoon , insaan yahan bhi andhay hain
Be'naam jafa ki raahon par , kuch khaak se urti dekhi hai
Hairaan hain dilon kay aainay , Na'daan yahan bhi andhay hain
Be'rang shafaq se dhalti hai , be'noor saweray hotay hain
Shair ka tasawur bhooka hai , Sultan yahan bhi andhay hain
No comments:
Post a Comment