Haadsay kya kya tumhari be'rukhi se ho gaye
Sari duniya kay liye hum ajnabi se ho gaye
Gardish-e-doran , zamanay ki nazar , aankhon ki neend
Kitnay dushman aik rasam-e-dosti se ho gaye
Kuch tumharay gaiso'on ki bar'hami ne kar diye
Kuch andheray meray ghar main roshni se ho gaye
Youn to hum Aagaah thay siyaad ki tadbeer se
Hum aseer-e-daam-e-gul apni khushi se ho gaye
Banda parwar ! khul gaya hai Aastano ka bharram
Aashna kuch log raaz-e-be'khudi se ho gaye
Ab kahan ae dost ! chasham-e-muntazir ki aabru
Ab to un kay ehad-o-paymaan her kisi se ho gaye
Her qadam "Saghar" ! nazar aanay lagi hain manzilein
Marhalay kuch teh meri awargi se ho gaye
No comments:
Post a Comment