Ru'daad-e-mohabbat kya kehiye , kuch yaad rahi kuch bhool gaye
Do din mussarat kya kehiye , kuch yaad rahi kuch bhool gaye
Jab jaam diya saqi ne , jab dour chala tha mehfil main
Ik hosh ki sa'at kya kehiye , kuch yaad rahi kuch bhool gaye
Ab waqat kay nazuk honton par majrooh taranum raqsan hai
Be'daad-e-mash'eeat kya kehiye , kuch yaad rahi kuch bhool gaye
Ehsaas kay meh'khanay main kahan ab fikar-o-nazar ki qandeelain
Aalaam ki shiddat kya kehiye , kuch yaad rahi kuch bhool gaye
Kuch haal kay andhay sathi thay , kuch mazi kay ayaar sajan
Ehbaab ki chahat kya kehiye , kuch yaad rahi kuch bhool gaye
Kaanton se bharra hai daman , shabnam se sulagti hain palkein
Phoolon ki sakhawat kya kehiye , kuch yaad rahi kuch bhool gaye
Ab apni haqeeqat bhi "Saghar" be'rabt kahani lagti hai
Duniya ki haqeeqat kya kehiye , kuch yaad rahi kuch bhool gaye
No comments:
Post a Comment