Kahin chatt thi , dar-o-dewar thay , kahin mila mujh ko ghar ka pata dair se
Diya to bhout zindagi ne mujhay , magar jo diya , diya dair se
Hua na koi kaam mamool se , guzray shab-o-roz kuch is tarah
Kabhi chand chamka ghalt waqat par , kabhi ghar main suraj ugga dair se
Yeh sab itafa'qaat ka khail hai yahi hai judai yahi meel hai
Main murr murr kay dekha kya door tak , bani woh khamoshi sada dair se
Kahin ruk gaye raah main be'sabab kabhi waqat se pehlay ghar aayi shab
Huye band darwaze khul khul kay sab jahan bhi gaya main bhi gaya dair se
Sajja din bhi , roshan hui raat bhi , bharray jaam , lehraai barsaat bhi
Rahay saath kuch aisay halaat bhi , jo hona tha jaldi hua dair se
Bhat'takti rahi youn hi her bandagi , mili na kahin se koi roshni
Chuppa tha kahin bheer main Aadmi, hua mujh main roshan khuda dair se
No comments:
Post a Comment