Youn bhi nahin keh meray bulanay se aa gaya
Jab reh na saka to bahanay se aa gaya
Hum kar kay baat phans gaye apnay hi jaal main
Kya palat kay teer nishanay se aa gaya
Aata na tha kabhi hamein apna khayal kuch
Itna bhi us ko paas bithanay se aa gaya
Kya la'taluqi se hua faida hamein
Kya us kay haath baat barhanay se aa gaya
Kuch aur bhi sampoliye haq'daar thay zafar
Main apnay aap uth kay khazanay se aa gaya
No comments:
Post a Comment