Ae meri soch kay mehwar , tum apnay saray dukh ro lo
Samjh lo mujh ko chara gar , tum apnay saray dukh ro lo
Issay tum mashwara samjho ya mera tajarba samjho !
Yeh dil ho jaye ga pathar , tum apnay saray dukh ro lo
Mujhay khamosh ashkon se bhout hi khouf aata hai
Na rakho aankh youn banjar , tum apnay saray dukh ro lo
Tumhein is ki khabar ho gi , yeh ik din khoon rula'iye ga
Bhula kar khawab ka paikar , tum apnay saray dukh ro lo
Meri jaan! yeh nahin socho , samaiton ga inhein kaisay
Meray shanay pe sar rakh kar , tum apnay saray dukh ro lo
Suan hai us ki aankhon main tumharay zakham khiltay hain
Tumhein kehta hai jo aksar , tum apnay saray dukh ro lo
Suno ! ne'meharban aankhein tumhein aisay hi daikhein gi
Nahin badlay ga yeh manzir , tum apnay saray dukh ro lo
Agar youn ashk ronay se anaa par chot parti hai
Hansi ki orh kar chadar , tum apnay saray dukh ro lo
Bata dena yeh mera dil tumharay gham se bojhal hai
Ussay kehna yeh nama bar , tum apnay saray dukh ro lo
No comments:
Post a Comment