Mar 25, 2016

Ik tumharay payar ne jadoo yeh kaisa kar diya


Ik tumharay payar ne jadoo yeh kaisa kar diya 
Chaar su meray ujaala hi ujaala kar diya 

Kon kehta hai mohabbat naam hai ruswai ka 
Kab suna hai phool ko shabnam ne meila kar diya 

 Dhoondta phirta hai ab woh doston ko her taraf 
Dosti kay shouq ne us ko akela kar diya 

Cheekh sun kar bhi kisi ne murr kay dekha hi nahin 
Be'hissi ne shaher kay logon ko behra kar diya

Baarishon main bheeg kar sab pairr ujlay ho gaye
Raat bhar ronay ne kuch mujh ko bhi halka kar diya 

Roz milta tha main tum se, roz hota tha juda 
Is tarah kay haadson ne zakham gehra kar diya 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...