Mar 23, 2016

Dard ko ashk bananay ki zaroorat kya thi


Dard ko ashk bananay ki zaroorat kya thi 
Tha jo is dil main dikhanay ki zaroorat kya thi 

Hum ne jo kuch bhi kiya apni mohabbat main kiya 
Go samajhtay hain zamanay ki zaroorat kya thi 

Ho jo chahat to tapak parti hai khud aankhon se 
Ae meray dost batanay ki zaroorat kya thi 

Itnay hasaas hain saanson se pighal jatay hain 
Bijliyan hum pe giranay ki zaroorat kya thi 

Hum to pehlay hi teray haq main tahi dast huye 
Aisay ghayal pe nishanay ki zaroorat kya thi 

Aisay lagta hai keh kamzor bhout hai tu bhi 
Jeet kar jashan mananay ki zaroorat kya thi 

"Saad" aankhon se hai shikwa na hi dil se koi 
Naqsh pani pe bananay ki zaroorat kya thi

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...